* Sonay Sy Likhny K Qabil Zindagi Aamoz Baaten *
> Insan Ka Sab Say Bara Karnama Yeh Hai K Woh Apnay Dil Or Zuban Ko Qaboo Main Rkhay
> Hamesha Sach Bolo Tkay QASAM Khanay Ki Zarorat Na Paray.
> Gunah Se Bachna Bohat Bari Neki Hai.
> Guftagoo Chadni hai Or khamoshi Sona.
> Rona dill ko Roshan Krta Hai.
> Sharm Ki Kashish Husan Say Ziada Hoti Hai.
> Khairat maal me izafa krti hy.
> Sabar or khamoshi sy bara koi hathiyar nahi.
> Maut sy ghaflat lambi umeedon ki waja sy hy.
> Jis ny apny maan baap ka adab kia uski aulad b muaddib hogi.
> Zuban ki laghzish qadam ki laghzish sy ziyada khatarnak hy.
> Us din par aansoo bahao jo din tum ny naiki k baghair guzaar dia
> Badtareen shakhs wo hy jis k dar sy log uski izzat krny par majboor hon.
> Asal baat bardasht krny me hy intiqaam lene me nahi
>Allah k nazdeeq is sy ziyada koi ibadat nai k koi musalman apny parosi ka dil khush kary.
> Koi hukoomat kufar k sath to chal sakti hy zulm k sath nai chal sakti.
> Khaak sy bany insan me agar khaksari nhi to uska hona, na hona barabar hy.
> (2) admion ka dil kabhi nahi bharta un me sy 1 to talib e ilm hy or dosra talib e maal.
> Tamam ibadaton sy behtar mazzloomon or ajizon ki faryad ko pohunchna hy.
> Logon ki di hui takleefen khaak par likho magar logon ki mehrbanian sang e marmar par likh.
> Taqdeer hamesha bahadri ka sath deti hy.
> Soorat Bagher seerat k 1 aisa phool hy jis me kanty hon or khushbu bilkul na ho.
0 comments: