“Mohammad SAW” Naam Ki Hifazat
Hazrat Abdul’Rahman Bin Abi Laila Kehte Hai Hazrat Umar Radiallahu
Anhu Ke Samne Eak “Mohammad” Naami Shaks Ko Dusre Ne Bura Bhala Kaha Aap
Ne Bula Kar Farmaya Tumhari Waje Se Ism (Name) “Mohammad” Ko Gaali Di
Ja Rahi Hai.
“Allah Ki Qasam Jab Tak May Zindah Hoon Kisi Ko Ye Naam Nahi Rakhne Dunga”
Aap Ne Isi Waqt Is Ka Naam Abdul’Rahman Rakh Diya, Phir Banu Talha Ko
Paygham Bheja Jin Logao Ke Ye Naam Hai – Wo Tamam Ke Tamam Badal Do –
Ittefaq Se Wo Sath Aadmi The In Ke Sar Barah Ka Naam Mohammad Tha,
Mohammad Bin Talha Hazir Hue Aur Arz Kiya.
Ameer Al’Momineen “ALLAH” Ki Qasam Mera Naam Mohammad Khud
Rasool’Allah Ne Rakha Tha, Is Per Hazrat Umar Radiallahu Anhu Ne Farmaya
– Jao Jab Huzoor Sallallahu’Alaihi’Wa’Salla
m Ne Ye Naam Rakha Hai To May Ise Nahi Badal Sakta.
(Mustand Ahmad Jild 5, Safa 250, Malumaat-e-Sahaba 101)
Khush Ikhlaaqi
Har Eak Ke Sath Khush Rui Aur Khush Aqlaaqi Se Paish Aana Ye Wo
Payghambarana Khaslat Hai Jis Ke Bare Me Huzoor
Sallallahu’Alaihi’Wa’Salla
m Ne Irshad Farmaya Ke,
Tarjuma : Yaqeenan Tum Sub Musalmaanao Me Sub Se Zyadah Mujhe Wo Shaqs Mehboob Hai Jis Ke Aqlaaq Ache Ho.
(Mishkaat Jild 2, Safa 431, Jannati Zewar 95)
Ziyarat-e-Shohada
Imam-e-Behkhi Ne Bahut Se Sahaba Akram Ke Asma-e-Girami Ginwaye Hai
Jo Shohda’e Ouhd Ki Khuboor Ki Zyarat Ke Liye Hazir Hua Karte The – In
Me 3 Khulafa-e-Rashideen Ke Alawah, Um’Al’Momineen Hazrat Um’Salma,
Sayyada Al’Nisa-e-Al’Alameen Hazrat Fatima Al’Zohra,
Hazrat Saad Bin Abhi Waqqas, Hazrat Abdullah Bin Omar, Hazrat Abu
Huraira, Abu Saeed Khudri Aur Digar Hazraat Ke Asma-e-Girami Hai,
Hazrat Sayyada Al Nisa Jab Tashreef Le Aate To Parda ‘Farmalete,
Hazrat Saad Bin Abhi Waqqas Khud Salam Arz Karte Phir Apne Hamrahiyao Ki
Taraf Mutawajjo Ho Kar Inhe Kehte “KYA TUM IS KHAUM KO SALAM ARZ NAHI
KARTE JO TUMHE SALAM KA JAWAB DETE HAI”.
(Dalail Al’Nabuwah Lil Behkhi Jild 3, Safa 308-309, Seerat
Al’Rasool Zia’An Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam, Jild 3, Safa 555,
556)
Sahaba Ka Hukm-e-Tameel Per Shiddat Se Amal Karna
Hazrat Jaber Radiallahu Anhu Se Marwi Hai, Jumah Ke Din Rasool’Allah
Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Mimbar Per Jalwah Afroz Hue Aur Farmaya
“اجلسوا” (Baith Jao),
Hazrat Abdullah Bin Masood Radiallahu Anhu Ne Ye Alfaaz Sunte To Wo
Masjid Ke Darwazeh Per Hi Baith Gaye, Aap Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ne
Dekh Liya Aur Farmaya,
Aye Abdullah Bin Masood Aage Aajao. —- SUBHAN’ALLAH
(Abu Dawood, Kitaab Al’Salawat, Malumaat-e-Sahaba 283)
0 comments: