Ziyarat-e-Shohada
Imam-e-Behkhi Ne Bahut Se Sahaba Akram Ke Asma-e-Girami Ginwaye Hai Jo Shohda’e Ouhd Ki Khuboor Ki Zyarat Ke Liye Hazir Hua Karte The – In Me 3 Khulafa-e-Rashideen Ke Alawah, Um’Al’Momineen Hazrat Um’Salma, Sayyada Al’Nisa-e-Al’Alameen Hazrat Fatima Al’Zohra,
Hazrat Saad Bin Abhi Waqqas, Hazrat Abdullah Bin Omar, Hazrat Abu Huraira, Abu Saeed Khudri Aur Digar Hazraat Ke Asma-e-Girami Hai,
Hazrat Sayyada Al Nisa Jab Tashreef Le Aate To Parda ‘Farmalete, Hazrat Saad Bin Abhi Waqqas Khud Salam Arz Karte Phir Apne Hamrahiyao Ki Taraf Mutawajjo Ho Kar Inhe Kehte “KYA TUM IS KHAUM KO SALAM ARZ NAHI KARTE JO TUMHE SALAM KA JAWAB DETE HAI”.
(Dalail Al’Nabuwah Lil Behkhi Jild 3, Safa 308-309, Seerat Al’Rasool Zia’An Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam, Jild 3, Safa 555, 556)
0 comments: